Dilon ka marz |Hedayet e Qalb
Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu,
Aaj ka article hamare dil ki rehnumayi k liye likh rha hun, Allah hum sbko sahi baat smjhne r amal ki taufeeq ata'a farmayen.
Bismillahirrahman nirrahim.
Mere pyare bhaiyonn islam ne harr chizz ki nisbat dil ki trf ki hh misaal ke taur pr " pathhar Dil, Dil mein khauf, dil mein fikr, Dil ko narm kro, waghaira waghaira".
Mere Nabi ki ek pyari hadees hai ki insaan k jism mein gosht ka ek lothra hai k jisme agr bigaar paida hojaaye to uske saare jismani r ruhaani maamlon mein bigaar aajayegi r agr wo thk hogya to insaan k saare maamle thk hojaayenge. Aur wo gosht ka lothra dil hai.
Ek jagah Allah ne farmaya ki beshakk dilon ka sukoon to Allah ke zikr mein hi hai.
Aur ye baat bhi durust hai ki insaan ko khushi r ghum harr chizz ka ehsaas dil mein hi hota hh.
Agr imtehaan dene jaana ho to dil mein bechaini hoti hh, r result achha aajaye to khushi dil mein hoti hh,
To pta ye chla k insaan k jism mein dil ka ek bht bara kirdaar hai,
Kisi k liye mohobbat r izzat bhi dil mein hi hoti hh,
Ek hadees mein irshad hai ki jinke dilon mein zarra brabr bhi emaan hoga to Allah apni rehmat se usko dozak se nikaal kr jannat mein daakhil krega,
Dusri jagah hadees mein irshad hai ki jb banda koi gunah krta hai to uss gunah k badle uske dil pr ek kaala nuqta lg jaata hh r phr wo banda gunah krta rehta hh r nuqta lgta jaata hh r ek din to dil kaala hojaata.
Yhn bhi emaan r gunahon ko dil ki trf btaya gya hh lehaaza pta ye chla ki insaan k saare maamlon mein dil ka ek bht ehem kirdaar hai.
To ye dil duniya ke saare maal o daulat se zyada qeemti chizz aur isme zra bhi terha pann hamare saare maamlon ko khrab kr skta hai.
Khulasa e kalaam ye hai ki agr hmko ek kamiyab r khush haal zindagi ki tamanna hai to sbse pehle Apne dil ki islaah krni bht zaruri hai, kyun ki dil ki islaah mein hi insaan kj islah hai.
Misaal ke taur pr agr iss dil mein behayayi aajaye to insaan apne aankhon se behayayi ki chizein dekhega, haatho se behayayi k kaam krega, apne jism ke harr azaa se gunah ka irtekaab krega.
Isko smjhne k liye aam misaal arz krta hun ki agr kisi ke dil mein maal o daulat ki hawas aajaye to Banda harr wo kaam krega jissey usko paisa aaye, maslan wo aankhon se aisi chizz hi dekhega jo paise kamaane ka zariya ho, haatho se wahi kaam krega jissey paisa kama ske, paon se wahin jaayega jahan se paise kama ske, aur bhi bht si misaalen maujood hain.
Wahin dusri trf kisi ka dil chaahe ki wo namaz parhe quran parhe, to wo banda uth ke wuzu krne paon se jaayega, haatho se quran kholega r aankhon se parhega r namaz mein pure badan se ibadat krega.
Pta ye chla ke ye Dil badshaah hai r pure insaan ka will power issi dil mein hai, ye dil jo chaahe insaan usko krne pr paaband hai.
Lehaaza iss dil ko subah shaam islaah ki zarurat hai ek pal ki bhi ghaflat insaan k liye nuqsaan ka baise ho skta hai.
To ab sawal ye rha ki hum kaise apne dil ki islaah kren???
Jawab hai ki humko apne deen ko achhi trh seekhna hoga, quran mein Allah kahan kahan kya farmata hai kya hedaayat deta hai usse jaanna r smjhna hoga.
Quran Allah ta'ala ki trf se insaan ki rehnumayi k liye naazil kiya gya hai lehaza iss quran ki rozz tilawat kren, rozz iska tarjuma parhen, tafseer parhen.
Uske alawa hamare nabi salallahu alaihiwasallam ki puri zindagi quran ka namuna hai.
Mere Nabi ka harr amal 100% quran ki hedaayet pr guzri hai, Allah ne ek ideal bna kr hmko dikhaya ki quran pr aise amal kro jaise mere mehbub Muhammad saw krte hain.
Mere Nabi ki seerat seekho mere nabi k akhlaaq seekho, mere nabi ki haya seekho, apni zindagi ko mere nabi ki zindagi ka xerox bnalo Allah ki qasam duniya bhi khubsurat hogi r aakhirat bhi khubsurat hogi..
Allah ne hmko 2 chizz ata'a ki ek quran r ek apni nabi hadees, r Allah ne quran mein farma Diya ki nabi jo bhi bolte hn wo nabi apni trf se nhi bolte unki zuban pr Allah bolta hai.
Iss aayet Mubarak k baad hadees pr amal naa krne ki koi gunjaayish nhi bach jaati, quran aur hadees pr amal krna farz hai farz hai farz hai....
Allah ke nabi ne sahaba ko apni seerat pr amal krna seekha kr saari duniya ke liye ideal bna diye ki jo bhi shakhs iss seerat mein dhall gya to Allah ussey raazi hogya..
Bhaiyon apne nabi ki chhoti bari tamaam sunnaton pr amal kro insha'Allah tm iss dil dil ki islaah khud apni aankhon se dekhoge.
Ek jagah Allah ke Nabi ne irshaad farmaya ki main tumhe apni azeem sunnat btaun, sahaba ne farmaya ki ya rasulollah zarur btayen, aap salallahu alaihiwasallam ne farmaya subah shaam apne dil ko logon ke hasad se bughaz se qeene se paak kro, maaf krte rho darguzar krte rho, agr tm aisa kr gaye to jannat mein tmhara ghr mere ghr k qareeb hoga.
subhanAllah kitni pyari hadees hai, hum sbko iss pr amal krna chahiye.
Namaz parho quran parho r seekho ki Allah kya chaahta hai hmse, r hum wo kaam krne mein lg jaayen, Allah se dua kro ki Allah tu bta tu kis baat se raazi hoga hum wo krnr mein lg jaayenge.
Mere bhaiyon aisi zindagi guzaaro aisi zindagi maango ki jb maut aaye to Allah mulaqat k shauq mein ho, jb maut ka waqt aaye to Allah tmse khush ho.
Aisi maut naa aaye ki jaise bhaga hua mujrim pakra gya ho.
Namaz parho Allah farmata hai beshakk namaz behayayi se rokti hai r haya emaan ki ek bht hi ehem tareen chizz hai.
Allah k nabi ne farmaya ki haya r emaan ek saath hai, agr haya gayi to emaan gya r emaan gya to haya chli gayi.
Haya to dil mein hota hai aur agr haya dil mein aagya to inn nigaahon ko jhukana bhi aajayega.
Allah se dua kren ki Allah hum sbko tahaarat waali zindagi ata'a kre,
Aur ek dua jo Allah k nabi maanga krte the ki aye dilon ki pherne waale mere dil ko apne deen pr jama de.
Allah hum sbko kehne sunne se zyada amal ki taufeeq ata'a farmayen, apne khyal zarur comment kr ke btayen r agla topic zarur btayen insha'Allah uss pr bhi jald hi article likhenge.
Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu


Comments
Post a Comment