Momin ki shaan Allah k nazdeek
Momin ek emaan waale ka laqab hai, emaan waala wo hai jo Allah pr, uske farishton pr, uske nabiyon pr, unpr naazil krda kitaabon pr, aakhirat k din pr, aur Allah ki likhi achhi buri taqdeer pr, aur maut k baad aane waale haalaton pr sache dil se yaqeen krta ho.
Aur phr inn tamaam baaton pr yaqeen rakhte hue Allah r uske nabi ki harr baat ki ita'at krta ho, ya deen Islam k saare ehkaamon pr amal krta ho to wo shakhs momin hojaata hai.
Allah ta'ala ne momin k liye duniya ki kamiyabi se zyada aakhirat ki kamiyabi rakhi hai, q ki duniya ki zindagi to chand rozz ki hai khatam hojaayegi, lekin aakhirat ki zindagi laa mehdood hh kabhi khatam nhi hogi.
Misaal k taur pr zameen o aasman k beech raayi k daane bhr diye jaayen r ek chiriya ek daana 1 saal mein aakr nikaale to kabhi na kabhi ek waqt zarur aayega jb pura daana khatam hojaayega, lekin aakhirat ki zindagi kabhi naa khatam hone waali zindagi hai, lehaaza jo apne gunahon ki wajah se dozak mein gya to wo wahin rhega hamesha hamesha k liye pr tb tk jb tk Allah na nikaale, r jo apne nekk amalon ki wajah kr jannat mein jaaye to wo hamesha hamesha k liye jannat mein rhega.
Inn baaton ko zehan mein rakh kr agr momin zindagi basar krta hai to wo Allah k liye mehbub hai lehaaza Allah k nazdeek wo uss momin ka martaba itna buland hai ki Allah farmata hai jiske dil mein raayi k daane k barabr bhi emaan hoga Allah usko iss duniya se 10× bari jannat ata'a krega.
Ye duniya 7 barre aazam mein phaili hui hai r Allah kehta hai itni bari duniya se 10× bari jannat usko dega jo zarra barabr bhi emaan bacha kr iss duniya se le jaaye Allahu Akbar, ye ek momin ki shaan nhi hai to kya hai?
Baat bari jannat ki nhi hai Allah ne to hum insaano ko smjhane k liye hamare hi andaaz mein misaal btayi hai wrna to ek momin ki shaan Allah nazdeek issey bhi zyada hai.
zra hum ghaur farmayen ki harr wo insaan jisne Allah k nabi ka kalma parha hai r emaan laaya hai wo apne aap mein kitni bari haisiyat ka maalik hai, lehaaza jisko apni haisiyat ko Allah k nazdeek aur barhani ho wo apne emaan pr mehnat krta rhe insha'Allah wo rozz e qayamat Allah ki mohobbat Allah ki rehmat ko dekhega r Allah usko iss trh raazi krega ki wo soch bhi nhi skta.
Aapas mein kisi ko haqeer na smjho ye duniya ki maal o daulat to khatam hojaayegi, ye Aish o ishrat khatam hojaayegi, naam, shohrat, sb kuch khatam hojaaye maut se zarab lgte hi sb zero hojaayega, jo aage jaayega wo hai momin k nekk amaal aur uska emaan.
Jb ek momin dusre momin se mile to aise mile jaise wo uska apna bhai ho q ki momin ki ek aadat ye bhi hai ki wo harr uss chizz se mohobbat krta hai jissey Allah mohobbat krta hh, to jb Allah momin se mohobbat krta hai to harr momin ko chahiye ki wo dusre momin bhai se puri shiddat se mohobbat kre.
Allah k nabi salallahu alaihiwasallam ne farmaya ki ek momin ka dusre momin se aisa hi rishta hai jaise jism ke ek hissey ka dusrs hissey se hota hai, agr jism k ek hissey ko chott lgti hai to pura jism uss dard ko mehsus krta hai, ussi trh ek momin ko takleef ho to puri duniya ke momin ko takleef mehsus hoti hai.
Ye mere nabi kareem salallahu alaihiwasallam ki ta'aleem hai inn ta'aleemaat ko agr hum zehen nasheen kr k zindagi basar kren aur apas mein husn sulook kren, to insha'Allah uss momin se mohobbat krne k badle Allah hmse bhi mohobbat krega.
Aur aakhir mein harr momin apne aap mein bohot qeemti hota hh, lehaaza naa kabhi khudko haqeer aur kmmtarr smjhen aur na dusre ko haqeer smjhen, harr momin itni izzat aur haisiyat ka maalik hai ki aakhirat mein ghair momin iss momin ke rutbe aur shaan ko dekh kr rashk krenge.
Duniya k chand paison r bangla, gaari se dusre momin ko zaleel naa kro aur na zaleel smjho, duniya mein jisko jo mila hai r jitna mila hai wo Allah ki marzi hai isme kisi insaan ka koi dakhal nhi hai, hmko Chahiye ki dusre momin bhai ko ghurbati k bina pr khudse durr naa kre, aur Allah ghareemon aur miskeenon se bara mohobbat krta hai q ki ye log apne kmm haisiyat pr sabr krne waale hain r sbr krne waala aise hai ki agr wo haath utha kr dua krde to Allah uski dua qubool krega hi.
Duniya ki kamiyabi bhi dhoka hai, duniya ki daulat bhi dhoka hai, ye duniya to machhar ka parr hai, makri ka jaala hai, iss dhoke se baahir aajao aur momin bnn kr zindagi guzaaro Allah duniya bhi sawaarega aakhirat bhi sawaarega insha'Allah.
Allah hum sbko ummati bnn kr chlne ki taufeeq ata'a kre, nekk aur ek bann kr zindagi guzaarne ki taufeeq ata'a kre aur jb maut aaye to aisi aaye ki Allah bhi humse mulaqaat k shauq mein ho.
Baatein achhi lgin to chhote bhai ko dua den aur agr kuch ghlti hui ho to maaf kren aur Allah hum sbki rehnumayi farmayen, aameen
Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu.
Comments
Post a Comment