Dilon ka marz |Hedayet e Qalb Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu, Aaj ka article hamare dil ki rehnumayi k liye likh rha hun, Allah hum sbko sahi baat smjhne r amal ki taufeeq ata'a farmayen. Bismillahirrahman nirrahim. Mere pyare bhaiyonn islam ne harr chizz ki nisbat dil ki trf ki hh misaal ke taur pr " pathhar Dil, Dil mein khauf, dil mein fikr, Dil ko narm kro, waghaira waghaira". Mere Nabi ki ek pyari hadees hai ki insaan k jism mein gosht ka ek lothra hai k jisme agr bigaar paida hojaaye to uske saare jismani r ruhaani maamlon mein bigaar aajayegi r agr wo thk hogya to insaan k saare maamle thk hojaayenge. Aur wo gosht ka lothra dil hai. Ek jagah Allah ne farmaya ki beshakk dilon ka sukoon to Allah ke zikr mein hi hai. Aur ye baat bhi durust hai ki insaan ko khushi r ghum harr chizz ka ehsaas dil mein hi hota hh. Agr imtehaan dene jaana ho to dil mein bechaini hoti hh, r result achha aajaye to khushi dil mein hoti hh, To pta ye chla k insaan k jism mein d...
Momin ki shaan Allah k nazdeek Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu Momin ek emaan waale ka laqab hai, emaan waala wo hai jo Allah pr, uske farishton pr, uske nabiyon pr, unpr naazil krda kitaabon pr, aakhirat k din pr, aur Allah ki likhi achhi buri taqdeer pr, aur maut k baad aane waale haalaton pr sache dil se yaqeen krta ho. Aur phr inn tamaam baaton pr yaqeen rakhte hue Allah r uske nabi ki harr baat ki ita'at krta ho, ya deen Islam k saare ehkaamon pr amal krta ho to wo shakhs momin hojaata hai. Allah ta'ala ne momin k liye duniya ki kamiyabi se zyada aakhirat ki kamiyabi rakhi hai, q ki duniya ki zindagi to chand rozz ki hai khatam hojaayegi, lekin aakhirat ki zindagi laa mehdood hh kabhi khatam nhi hogi. Misaal k taur pr zameen o aasman k beech raayi k daane bhr diye jaayen r ek chiriya ek daana 1 saal mein aakr nikaale to kabhi na kabhi ek waqt zarur aayega jb pura daana khatam hojaayega, lekin aakhirat ki zindagi kabhi naa khatam hone waali zindagi hai, lehaaz...