Momin ki shaan Allah k nazdeek Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu Momin ek emaan waale ka laqab hai, emaan waala wo hai jo Allah pr, uske farishton pr, uske nabiyon pr, unpr naazil krda kitaabon pr, aakhirat k din pr, aur Allah ki likhi achhi buri taqdeer pr, aur maut k baad aane waale haalaton pr sache dil se yaqeen krta ho. Aur phr inn tamaam baaton pr yaqeen rakhte hue Allah r uske nabi ki harr baat ki ita'at krta ho, ya deen Islam k saare ehkaamon pr amal krta ho to wo shakhs momin hojaata hai. Allah ta'ala ne momin k liye duniya ki kamiyabi se zyada aakhirat ki kamiyabi rakhi hai, q ki duniya ki zindagi to chand rozz ki hai khatam hojaayegi, lekin aakhirat ki zindagi laa mehdood hh kabhi khatam nhi hogi. Misaal k taur pr zameen o aasman k beech raayi k daane bhr diye jaayen r ek chiriya ek daana 1 saal mein aakr nikaale to kabhi na kabhi ek waqt zarur aayega jb pura daana khatam hojaayega, lekin aakhirat ki zindagi kabhi naa khatam hone waali zindagi hai, lehaaz...